Ya Zehra

TRANSLITERATION

Ya Zahra… (4)


Aai Meri Bibi (2)

Tere Dar Pe Istighasa Hai, 

Tera Mamnoon Meri Shehzadi Yeh Jahan Sara Hai


Ya Zahra… (4)


Tu Humein Hifz Aur Aman Dede, 

Apni Chadar Ka Saiban De De

Teri Kudrat Me Kya Nahi Bibi, 

Tu Jise Chahe Do Jahan De De


Ya Zahra… (4)


Aai Meri Bibi (2)

Aansuon Ne Dua Maangi Hai, 

Teri Tasbeeh Padh Ke Dil Ne Tujhe Pukara Hai


Ya Zahra… (4)


Karz Makrooz Ka Ada Karde, 

Muflison Ka Naseeb Wa Kar De

Jin Ki Godi Bhari Nahi Bibi, Unko Aulad Tu Ata Karde


Ya Zahra… (4)


Aai Meri Bibi (2)

Bus Tuhi Murad Deti Hai

Teri Chaukhat Dar E Ilahi Ka Isteaara Hai


Ya Zahra… (4)


Farsh E Majlis Pe Aur Musalle Par, 

Har Jawan Keh Raha Hai Ro Ro Kar

Hum Rahe Na Rahe Magar Bibi, Ta Qayamat Rahe Gam E Sarwar 



Ya Zahra… (4)


Aai Meri Bibi (2)

Tere Bacchon Ka Gam Manate Hai


Apni Aulad Se Kahi Bar Ke Gam Yeh Pyara Hai


Ya Zahra… (4)


Un Shaheedon Ka Yeh Mukaddar Hai, 

Sayeban In Ka Teri Chadar Hai

Unke Seeno Pe Aai Meri Bibi, Daag E Matam Nishan E Haider Hai


Ya Zahra… (4)


Aai Meri Bibi (2)

Khuld Mein Shaheed Jub Jaaie

Teri Aawaz Aaie Aane Do Yeh Hamara Hai



Ya Zahra… (4)


Khoon Bankar Ragon Mein Hai Nauha, 

Meri Naslon Me Bhi Rahe Nauha

Jaise Main Ne Para Hai Bachpan Se, Mera Nade Ali Padhe Nauha


Ya Zahra… (4)


Aai Meri Bibi (2)

Iske Dil Me Wilayat E Haider

Mere Maan Baap Ki Taharat Ka Ek Ishara Hai


Ya Zahra… (4)


Tere Dil Par Hai Jo Sitam Toote,

Zindagi Mein Jo Tu Ne Gham Dekhe

Aasmano Zameen Pe Gar Hote, Misle Shab Woh Siyah Ho Jaate


Ya Zahra… (4)


Aai Meri Bibi (2)

Dekh Kar Teri Musibat Ko

Sare Aalam Ka Dil Masaib Se Para Para Hai


Ya Zahra… (4)


Tujhko Ummat Ne Yun Sataya Hai,

Marge Mohsin Pe Bhi Rulaya Hai

Tujhko Baba Ke Baad Ummat Ne, Haye Darbar Mein Bulaya Hai


Ya Zahra… (4)


Aai Meri Bibi (2)

Kitne Sadme Uthaie Hai Tune

Jeete Jee Tujhko Meri Shehzadi Gham Ne Mara Hai


Ya Zahra… (4)


Hai Yehi Mazhar Aabdi Ki Dua, 

Tere Bacchon Ka Gam Rahe Zinda

Sath Irfan Ke Rahe Jari, Tere Sadke Me Karwane Aza


Ya Zahra… (4)


Aai Meri Bibi (2)

Tere Dar Pe Sar Jhukate Hai

Har Husaini Ka Tere Tukron Pe Hi Guzara Hai


Ya Zahra… (4)

TRANSLATION

Oh Zahra… (4)


Oh my lady

There is a caller at your door

My princess, this whole world is grateful to you


Oh Zahra… (4)


Give us your protection and faith

Give us the shelter of your veil

What is not within your power oh lady?

You who can grant anyone both worlds


Oh Zahra… (4)


Oh my lady

My tears have asked for your Dua

My heart calls for you, while reading your tasbeeh


Oh Zahra… (4)


Help to repay the indebted

Bless the fate of the impoverished

Those who don’t have kids oh lady, bless with children


Oh Zahra… (4)


Oh my lady

You are the one who fulfills desires

Your door represents the door of Allah


Oh Zahra… (4)


On the floor of majalis, and on the prayer rug,

Every youth is crying out

“Whether we are here or not oh lady, the sadness of our masters will remain until Qiyamat”


Oh Zahra…


Oh my lady

We commemorate the sadness of your children, 

This sadness is far dearer than our own children


Oh Zahra…


This is the destiny of those shaheeds,

Your veil is their shelter

On their chests, oh my lady are signs of the lovers of haider.


Oh Zahra…


Oh my lady

When the shaheed reach heaven

Your voice comes “let them enter, they are from us”


Oh Zahra…


This nauha runs as blood in our veins

May it continue through generations

Just like I read in my childhood, may my child read this nauha. 


Oh Zahra…


Oh my lady

In my heart is the wilayat of Haider

A symbol of my parents purity


Oh Zahra…


So much oppression fell on your heart

In your life what sadness you saw

If the sky or earth felt your tragedies, the days would turn to night.


Oh Zahra…


Oh my lady

After seeing your calamity,

The world’s heart has shattered from grief


Oh Zahra…


This Ummah has bothered you so,

They made you cry over the death of Mohsin

After your father, the Ummah called you to the courts


Oh Zahra…


Oh my lady

How many calamities you have carried

While you lived my princess, sadness killed you


Oh Zahra…


This is Mazhar Aabdi (The poet’s) dua

That your children’s sadness remains alive

With Irfan (The Reciter) 



Oh Zahra…


Oh my lady

We bow our heads at your door

Every Hussaini lives off of your blessings



Oh Zahra…

Irfan Haider